Thursday, 26 April 2012

My Review-



Vicky Donor.... Ayushmaan Bhav !!!

























Band baja baraat k baad dilli aur dilli k befikar munde to jaise bollywood mein success ka 
formula ban gaye..kai filmon mein us tarah k kirdaar aur dialogues k zariye audience ko baandhe rakhne ki koshish ki gayi..chahe wo 'mausam' mein shahid ka character ho 'rockstar' mein ranbir ka..ya latest bittoo boss...directors ko laga dilli aur punjabiyon ka tadka lagane se pheeki kahaani mein bhi swaad aa jayega..
..lekin aisa hua nahi...kyunki jaisa maine kaha tha kahani kamzor hogi to picture ka chalna mushkil hota hai....( housefull 2 zaroor ek exception hai..main seriously jaanna chahti hun ki log ye picture dekhna chale kaise gaye) khair,,,in sabhi filmon ne itna dissappoint kiya ki vicky donor k promos se laga ek aur delhi centric movie aa gayi..lekin iske release hone k baad word of mouth k zariye is film ne apna jaadu chalana shuru kar diya..tamam social networking sites aur tv pe apna verdict sunane wale film critics ne film ko 3 aur 4 stars se nawaza, ek do ne toh 5 stars tak de daale..yahi nahi kayi logon k status pe bhi likha aane laga ki vicky donor zaroor dekhein..waise sach kahun to har movie ek baar dekhne layak to hoti hi hai ..isliye ye film dekhne ka mann to main pehle hi bana chuki thi..to achche reviews k baad ye jaanne ki ichcha aur badh gayi ki film main aisa hai kya...
aur finally film dekhne k baad ye keh sakti hun ki-
freshness, amazing moments aur entertainment k dheron sperms ne ek bahut hi gud luking, well spoken aur intelligent film ko janm diya hai...aur haan ye band bajaa baraat se bilkul alag hai...sperm donation jaise ek sensitive subject ko bahut hi light hearted tareeke se darshaya gaya hai...waise film ki jaan iske dialogues hain jinki khaas baat ye hai ki ye dialogues kam aur ek dilli waale ki aam bolchaal jaise zyada lagte hain.."fuddu".."chep" "vella" jaise fultoo dillichap shabdon ke istemaal ne kai seetiyan aur taali bhi batori..
agar acting ki baat karein to Ayushmaan ne amazing acting ki hai..vicky ko itna naturaly screen pe jiya hai ki koi keh nahi sakta bande ki pehli film hai..Yaami gautam behad fresh aur pleseant lagi hain..acting bhi achchi hai lekin ek particular scene jahaan wo vicky ka raaz jaanne ke baad gussey mein react karti hai, wahaan zara maat kha gayin..aisa laga jaise dir ne doosra take le liya hota to behtar tha..
annu kapoor (doctor), dolly (maa) aur daadi ne to kamaal hi kar ditta ..teeno poori pichchar vich chhaye rahe..daadi aur maa k drinking scenes to lajawab hain..nashe mein talli hoke duniyadaari discuss karne ki acting mein to inhone bade bade bewadon ko peeche chhod diya..dekha jaaye toh teeno hi apne kirdaaron k mutabik hain ekdum pure punjabi.. :))
infact yaami k bengali dad aur bua ne bhi zordaar acting ki hai..dono parivaaron ke beech bong aur punjabiyon ki fish aur chikkan tikkey ki jung dekhne layak hai..sophisticated vs show offs..lol
all in all ek achchi script (except for the forced climax)..lajawaab acting aur paani de rang ne is picture ko one of the best ki category mein laake khada kar diya hai,,tusi vi ek vaari jaake taalkies vich picchar dekho..je achci na lage te menu dasya..:)

jaate jaate fyi- maa ka character karne waali dolly auntie ka asli naam hai dolly ahluwalia..ye
actress hone k saath saath ek costume designer hain aur bandit queen k liye costume designer ka national award jeet chuki hain..saath hi omkaara ke liye filmfare award haasil kar chuki hai..o ji kya kehne inke toh..:0)

No comments: