Thursday 17 May 2012

Ishaqzaade.. 'zyada ishaq nahi hua'





















"ITS BORING"

Aajkal moviemakers ka simple funda hai.. picture se zyada mehnat promos aur publicity pe karo..isse shuruwati push milega aur initial do char din mein maximum cost recover ho jayegi..phir success party throw kar do..audience bechari sochti hi reh jaayegi- boss ye kaise hua..lol..example- Yamla Pagla Deewana, Bodyguard, Ra.1, blood money, jannat-2...(list is long)....new addition in d list is- Ishaqzaade....promo zyada achche they movie se..

Reasons-

1. story ko U.P ke ek small town mein set kiya gaya hai..jahan muscle power ke boote saari cheezein hoti hain..politics aur polititions haavi rehte hain..aur baat baat mein bandookein chalti hain..mauka chaahe khushi ka ho ya gham ka..lekin sheher ka aisa mahoul real kam aur pretentious zyada lagta hai kyunki ismein zaroorat se zyada gun shots hain ..itne zyada ki kuch der mein sound irritate karne lagta hai..
2. hero ka introduction shot behad lumba aur boring hai aur uske funny dialogues bilkul bhi funny sound nahi karte..dialogues se ummed zyada thi kyunki iske writer/dir Habib Faisan pehle band baaja baraat, ladies vs ricky behl aur do dooni chaar jaisi filmein likh chuke hain..waise zyadatar achche dialogues hero ke dada ke hisse aaye hain..
3. hero-heroine ka bepanah "Ishaq" justify nahi ho paya, (jo ki film ke naam aur flavour ko dekhte hue, hona bahut zaroori tha.)...kyunki aaj ke zamane mein ek doosre se itna pyaar karna ki gundon ki goli se marne k bajaaye dono khud ek doosre ko maar lein..ye zara unrealistic hai..(pun intended)
4. "hero yaani parma apni maa se bahut pyaar karta hai uske pita nahi hain..dada maa bete ko zyada tawajjo nahi deta kyunki wo apne bete ki maut k liye bahu ko zimmedaar thehrata hai..aise mein maa ka ek hi sahara hai uska beta parma"..no no main apko poori kahani nahi sunane ja rahi balki ye sab maine isliye bataya ki ye sab jaante hue film ka ek scene thoda idiotic lagta hai..jab heroine ko dada ki goli se bachati hui ladke ki maa mar jaati hai..bete ke saamne dada ne maa ko maara hai..ab batao ki aise sheher mein jahan mazaq mazaq mein log bandook chalate hain wahan is tarah ki situation mein kya hona chahiye tha mere mutabik to gusse mein aakar beta dada ko maar deta lekin aisa hua nahi wo to bus heroine ko bachaane nikal gaya..

ab isse zyada loop holes ginaungi to sab padhne mein bhi bore ho jayenge..isliye zara track badalkar film ke interesting pehluon k baare mein baat kar lete hain..

1. I have no qualms in saying n mind u its "STRAIGHT" from my heart- "I love Parineeti Chopra"...ds girl is a rockstar..she is damn natural on screen..she is basically a refined version of rani mukherjee..
2. Arjun Kapoor is gud too......n ds is my personal observation tht he luks like abhishek bachchan (better version), his voice resembles with Ranvijay's voice (apna roadies wala..:) ) n he talks like Anil Kapoor nd nd nd chhokra na sirf ek handsum jawan hai balki chhokra achcha dance bhi karta hai..bole toh ekdum "Jhakkas" ..hez just adorable..
3. Songs of ds movie r sexy..n they seem rather sound like the only saving grace..going by d track record (dev d, wake up sid- iktaara, aisha, no one killed jessica)  we can say Amit Trivedi is new A.R Rehman....Melodies, instrumentation everything is in sync wd d mood of d movie...
4. Gauhar Khan has done a gud job..she is a gr8 dancer.. way better than ne malaika, mallika or katrina for tht matter..shez a sophisticated "item"song queen..i specialy loved d picturisation of "Jhalla mera aashiq jhalla"..

http://www.youtube.com/watch?v=cPDgx06xEpw

end mein bus yahi keh sakte hain ki 2010 ki best film ka national award jeet chuki film "do dooni chaar" ke director (habib faisal) se is baar bhi ek bahut achichi film ki ummeed thi jo poori nahi hui..par har film ek baar to dekhi jaa hi sakti hai..unless usmein hero tusshaar kapoor ho..lol :))))
Guys.. write ur gyan also on ds film..will post it here..

My frnd Mini (Mrinal Pandey) saysU r right.. this is d most 'nonsense' movie.. story sucks.... Dont know wat children will take home from this kindda story.... Songs r gud n i also like parineeti chopra, she is awesome undoubtedly....


true tht sister.. :::)

1 comment:

Mrinal Pandey said...

U r right this is most nonsense movie specially story.... Do know wat children cognize thru this kindda story.... Songs r gud n i also like parineeti chopra, she is awesome undoubtedly....